Har ek chehre ke peeche hua karte hai afsaane tamaam…a
aenah ke us paar yunhi kai aks dikha nahin karte
*afsaane- long stories
Aafaton ne humein agaahi bana diya
warna hum har masoom hansi se dara nahin karte
*agaahi- having insight of future
Waqt ke aghosh mein dafn hain zindagi ke asraar
besh keemti dafeenahon ko bayan nahin karte…
*asraar-raaz, dafeenah-hidden treasures
Andheron mein apna saaya bhi dagha de jaata hai..
chashmon-chiraag se wafa ki umeed rakha nahin karte
*dagha- dhokha, chashmon-chiraag-near and dear ones
Lamehin bulbulon ki tareh hote hain….
laakh zatan se bhi umra bhar tika nahin karte
Gar yeh sach hai ke har shaks mein ek khuda basta hai
log but-khannahon mein sajde kiya nahin karte
*but-khannah- temple of idols
Muskura diya karo gum mein bhi kabhi…
chashn-e-pur-aab ki aanch se gum jala nahin karte
*chashn-e-pur-aab: tearful eyes.
Chand logon ko bharme-anal-haqq hai…
roz be-matlab hi itne qatl hua nahin karte..
*anal-haqq- I am the god
Nadaan dil shikar ho jaata hai khushfehmi ka aksar….
kisi ki dillagi ko mohabbat ka naam diya nahin karte…
Monday, November 24, 2008
Ghar..
Wo ghar yaad hai na apna….
Uske saamne waala baagheccha….
Na jaane kitne zatan se sajaya tha…
Aur baarish ke baad wahan baith kar
Tumhein intezar rehta tha..
Coffee ka…
Upar waale bedroom ki ek puri deewar par…
Main aur tum samandur se sate chalte hue
Yahi photo lagi hui thi na..
Aur bistar par chaadar..
Oh haan ujla rang pasand tha tumhein…
Ujle baadlon jaisa saaf rang….
Khidki se gulmohar ka per jhankta hua
Kaise sharma jaata tha na..
Jab tum apni aghosh mein bhar lete the mujhe
Ek baar to guldasta bhi gir gaya tha table se
Wahi jispar milkar rang chadhaya thaek dopahar…
Chaat ke jhule par aksar baitha karti thi main
Aur tum lete rehte the meri god mein sir rakh kar..
Main ek novel ki kahani sunane lagti thi…
Jab tum mujhe chup karane ko macchar maarne lagte the….
Kaise chidh kar tumhein neeche gira deti thi…
Aaj jab ek naye ghar mein jaa rahi hun …
To khayal aaya…
Ek aakhiri baar dekh lun sukun se…
Apne khwabon ka wo aahinaah….Jis mein tum the……
Subscribe to:
Posts (Atom)