
mere labon ki hansi par mat jaana..
kuch cheezein yunhi bewajah si hoti hain..
ek saans lene mein dum ghut ta hai mera
yeh zindagi bhi kitni bewajah si hoti hai...
mere dil ki zubaan mere labon tak pahunch nahin paati
bus kabhi kabhi aankhon se chalak jaati hai
kasoor unka nahin jo samajh nahin paate..
aakhir aansuon ki keemat bhi zara si hoti hai!
humne apni hasti mitakar unhein wajood de daala to kya?
unki har khwaish ko apna bana daala to kya?
aaj na wo hain, na hum na zindagi hi kahin...
par kuch palon ki keemat ta-umra si hoti hai.......
1 comment:
unki har khwaish ko apna bana daala to kya?
aaj na wo hain, na hum na zindagi hi kahin...
par kuch palon ki keemat ta-umra si hoti hai.......
bahut hi sundar sabdo ko piroya hi aapne////////
Post a Comment